Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Ik ladka ik ladki ki yeh kahani hai nayi
Do lafzon mein yeh bayan na ho paaye
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Ik dooje se hue juda Jab ik dooje ke liye bane
Tumse dil jo lagaya toh jahaan maine paaya
Kabhi socha na tha yoon meelon door hoga saaya
Kyun khuda tune mujhe aisa khwaab dikhaya
Jab haqeeqat mein use todna tha
Ik dooje se hue judaa, jab ik dooje ke liye bane
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh Bayaan na ho paaye
Teri meri baaton ka har lamha sabse anjaana,
do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Har ehsaas mein tu hai har ik yaad mein tera afsaana
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Sara din beet jaaye, Saari raat jagaye
Bas khayal tumhara lamha lamha tadpaye
Yeh tadap keh rahi hai mit jaaye faasle
Tere mere darmayaan hai Jo saare
Ik dooje se hue juda Jab ik dooje ke liye bane
Teri meri baaton ka har lamha sab se anjaana
Do lafzon mein yeh Bayaan na ho paaye
Har ehsaas mein tu hai har ik yaad mein tera afsaana
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
No comments:
Post a Comment